kisi pe koi bharosa kare to kaise kare ki aansuon ke siwa aur koi kya dega bahut hua to tabassum ke chand phulon ko nigah-e-shokh ke hathon se bewafa dega chale to jate ho ruthe hue magar sun lo har ek mod pe koi tumhein sada dega ajib manzil-e-hairat mein hai jahan-e-kharab ki jaise hum se diwanon ko bhi saza dega hamare sher mein pinhan hai raushni gham ki zara suno to sar-e-sham ye ziya dega