kaun jaane hoga kya ye majra hone ke baad

kaun jaane hoga kya ye majra hone ke ba'd
jism phika pad gaya rang-e-qaba hone ke ba'd

aql ki harza-sarai zehn ki aawargi
mujh ko sab kuchh mil gaya tujh se juda hone ke ba'd

shukr hai farigh hue de kar hisab-e-zindagi
ek aansu bach raha sab kuchh ada hone ke ba'd

sari khushiyan kaisi be-tabi se rukhsat ho gain
log masjid se uthen jaise dua hone ke ba'd

shola-e-jawwala jab tak the to the aatish-mizaj
khunki-e-ahl-e-wafa ab hain 'saba' hone ke ba'd


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close