kisi ko paikar-e-mahtab mein jo dhaala tha khayal-o-khwab ka wo aakhiri sanbhaala tha har ek shakhs pe parchhain ka khayal hua teri gali mein ajab tarah ka ujala tha na jaane kis liye zulmat ne us pe yurish ki wo aaftab ki jo khud hi dhalne wala tha isi khata pe har ek khar ne qadam chume wo ek kanta hi kyon panw se nikala tha koi batao ki suraj ko ye jhijhak kyon hai abhi kiran ne to kohre se sar nikala tha bila-sabab mujhe yaadon ne sangsar kiya sarab-e-zist se main kab nikalne wala tha kabhi to hum ne bhi khwabon ke but tarashe the hamare dil mein bhi ulfat ka ek shiwala tha