kaun kahan tak ja sakta hai ye to waqt bata sakta hai ishq mein wahshat ka ek shoala ghar ko aag laga sakta hai jazbon ki shiddat ka suraj zanjiren pighla sakta hai teri aamad ka ek jhonka ujda shahr basa sakta hai aaine mein jurat ho to aks bhi surat pa sakta hai aankhon mein thahra ek manzar rah mein gard uda sakta hai tujh ko paiham sochne wala khwab ko hath laga sakta hai