baghair yar gawara nahin kabab sharab gazak hai dagh mujhe aur khun-e-nab sharab agar hai shauq-e-tahaarat sharab pi zahid tere najasat-e-qalbi ko hogi aab sharab dimagh ahl-e-kharabaat ke moattar hain kabab nafa-e-mushk-e-khutan gulab sharab piyun najat samajh ke jo ishq-e-saqi hai darud padh ke tapaun pae sawab sharab baghair sukr hua hai ye aalam-e-sakraat hamare munh mein chuwao bajae aab sharab chaman pe jhum raha hai siyah masti mein ajab bahaar hai barsae jo sahab sharab shab-e-visal hai anjum khilaen naql mujhe pilae apne piyale mein mahtab sharab bahut mazammat-e-mai-khwar likh raha hai shaikh khuda kare ki bane jadwal-e-kitab sharab chale bahaar ke ayyam saqi-e-gul-ru mera shabab hai mehman la shitab sharab koi gazak gazak-e-husn se nahin aala sharabon mein hai mai-e-ishq intikhab sharab hai nur-e-nashsha ziya-bakhsh dida-e-irfan dur-e-yagana-e-dil ki hai aab-o-tab sharab khuda ke ghar mein wo barra raha hai ai rindo jagao shaikh ko chidko ba-ru-e-khwab sharab na dekhe bughz se manind-e-shapparak zahid hai apne nur se ham-jam-e-aftab sharab nashat-o-aish jahan par na 'bahr' lahrana ki bagh-e-sabz-e-gulistan hai sarab sharab