kaun kahe masum hamara bachpan tha khel mein bhi to aadha aadha aangan tha kanch ki chudi le kar main jab tak lauta us ke hathon mein sone ka kangan tha jo bhi mila sab bant liya tha aapas mein ek the hum aur ek hi apna bartan tha aks nahin tha rangon ki bauchhaaren thin rup se us ke sahma hua har darpan tha ro-dho kar so jata lekin dard tera ek ek bund nichodne wala sawan tha tujh se bichhad kar aur teri yaad aaegi shayad aisa sochna mera bachpan tha