jag aur dekh zara aalam-e-viran mera subh ke bhes mein nikla hai gareban mera fitrat-ara-e-junun hai tan-e-uryan mera meri be-chaargiyan hain sar-o-saman mera ghalba-e-yas baja shiddat-e-hirman taslim main samajhta hun ki marna nahin aasan mera tod kaliyan magar ai khana-bar-andaz-e-chaman arz ye hai ki nasheman na ho uryan mera tumhein kyun madd-e-nazar ab hai kharabi us ki tum to kahte the ki ghar hai dil-e-insan mera tha ye faiz-e-nigah-e-lutf-o-karam ai 'simab' ho gaya harf-e-ghalat daftar-e-isyann mera