kaun kahta hai aah karta hun ye to ek dil mein rah karta hun teri rahmat ka wasta ya-rab irtikab-e-gunah karta hun apni haalat pe rashk aata hai ghair par jab nigah karta hun ghair phir ghair hai dagha dega bar bar intibah karta hun ek but ke firaq mein ghul kar zindagani tabah karta hun ghair kya yunhi jaan chhidkega jis tarah main nibah karta hun rahmaten hath chum leti hain jab main qasd-e-gunah karta hun tang hun raazdar se 'hajir' tark sab rasm-o-rah karta hun