kisi se ishq-e-dushman ka gila kya nahin jab rabt to phir muddaa kya har ek shai mein tujhi ko dekhte hain hamare waste achchha bura kya zarurat kya hai samjhe kaun zahid rawa kya hai yahan par na-rawa kya use zalim samajh kar dil diya tha to phir ab kam-nigahi ka gila kya gham-e-duniya ki mana hai dawa ishq magar phir dard-e-ulfat ki dawa kya bahut pachhtae tum se dil laga kar ba-juz ranj-o-alam hum ko mila kya na hogi kya kabhi ummid puri na hoga mehrban wo be-wafa kya sabhi insan hain allah ke bande jahan mein aashna na-ashna kya faqat ek dil hai wo hai nazr teri hamare pas hai is ke siwa kya nigah-e-naz se dil bach bhi jae magar ghayal na kar degi ada kya luta kar chal diya ghar-bar 'hajir' use baithe bithae ye hua kya