kaun kahta hai badha shauq idhar se pahle kis ne dekha tha kise tirchhi nazar se pahle mutmain ho le zara ahl-e-nazar se pahle parde aankhon ke utha parda-e-dar se pahle abhi talim-e-wafa yani jafa ka nahin waqt tarbiyat shauq ki ho lutf-e-nazar se pahle han mohabbat mein maza hai mujhe inkar nahin magar ai zauq-e-khalish dard-e-jigar se pahle salik-e-rah-e-wafa hai dil-e-ashufta-mizaj muzhda-e-gumrahi-e-shauq-e-safar se pahle jurat-e-arz-e-tamanna pe khafa ho lena muskurao to zara nichi nazar se pahle mausam-e-kaif mein be-kaifi-e-jazbaat na puchh dil-e-bulbul hai fasurda gul-e-tar se pahle jumbish-e-muztarib-e-parda-e-ismat ki qasam jalwe betab hue zauq-e-nazar se pahle jin se badnam hue ishq ke jazbaat-e-latif wo ishaare the idhar se ki udhar se pahle do iradon mein jo hail the haya ke parde kis ne sarkae ishaaraat-e-nazar se pahle kyun koi pahlu-e-jaanan mein jagah pae 'jamil' aaj hum bazm mein pahunchenge qamar se pahle