hazar sharm karo wasl mein hazar lihaz na nibhne dega dil-e-zar o be-qarar lihaz na gudgudao mujhe main bhi tum ko chhedunga main kar chuka hun tumhaara hazar bar lihaz naqab uthne ki jurat kahin na kar baithe badhae kyun dil-e-muztar ka iztirar lihaz sharab pi chuke be-chaare ko ijazat do khada hai der se rukhsat ko ai nigar lihaz main madh-sanj hun dil se tere talawwun ka na paedar hai ulfat na paedar lihaz batao to ye rahega visal mein kab tak hamare hath ke badle gale ka haar lihaz karen jo aap tajahul to kyun na samjhaun kare huzur kahan tak wafa-shiar lihaz wo apne sar ko zara bhi utha nahin sakte jhuki hui hai jo gardan to hai sawar lihaz jo un se puchho to un ke khilaf hai shokhi jo hum se puchho to hum ko hai nagawar lihaz takalluf uthte hi 'parwin' wo khub khul khele hua hai shokhiyon se kitna be-wiqar lihaz