kaun kahta hai ki mahrumi ka shikwa na karo han magar saqi-e-mai-khana ko ruswa na karo zikr chhid jae agar qaum ki bad-bakhti ka rahnumaon ki taraf koi ishaara na karo zehn sanjida masail se hatane ke liye roz ye shaikh o barhaman ka tamasha na karo ek bhi lafz hatane ki nahin gunjaish mere paigham-e-mohabbat ka khulasa na karo ye talluq ki kharashen bhi maza deti hain ruth jae koi tum se to manaya na karo aaj bhi main nahin insan se mayus ki jab log kahte hain khuda par bhi bharosa na karo