lahu se apne zamin lala-zar dekhte the bahaar dekhne wale bahaar dekhte the surur ek jhalak ka tamam umr raha hawas-parast the jo bar bar dekhte the kabhi kabhi hamein duniya hasin lagti thi kabhi kabhi teri aankhon mein pyar dekhte the chala wo daur-e-sitam ghar mein chhup ke baith gae jo har salib ko mardana-war dekhte the