kaun kahta hai ki marna mera achchha na hua fikr darman na hui ranj mudawa na hua wah is nale pe aur itni adu ko nazish bazm mein aur to kya hashr bhi barpa na hua sair-e-gulshan se rahe shad wa-lekin afsos ab ke malum kuchh ahwal qafas ka na hua so gae sunte hi sunte wo dil-e-zar ka haal jab ko hum samjhe the afsun wahi afsana hua rabt kuchh dagh-o-jigar ka to hai chaspan 'ashiq' warna is daur mein koi bhi kisi ka na hua