ab ke barsat ki rut aur bhi bhadkili hai jism se aag nikalti hai qaba gili hai sochta hun ki ab anjam-e-safar kya hoga log bhi kanch ke hain rah bhi pathrili hai shiddat-e-karb mein hansna to hunar hai mera hath hi sakht hain zanjir kahan dhili hai gard aaankhon mein sahi dagh to chehre pe nahin lafz dhundle hain magar fikr to chamkili hai ghol deta hai samaat mein wo mitha lahja kis ko malum ki ye qand bhi zahrili hai pahle rag rag se meri khun nichoda us ne ab ye kahta hai ki rangat hi meri pili hai mujh ko be-rang hi kar den na kahin rang itne sabz mausam hai hawa surkh faza nili hai meri parwaz kisi ko nahin bhati to na bhae kya karun zehn 'muzaffar' mera jibrili hai