kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga main to dariya hun samundar mein utar jaunga tera dar chhod ke main aur kidhar jaunga ghar mein ghir jaunga sahra mein bikhar jaunga tere pahlu se jo utthunga to mushkil ye hai sirf ek shakhs ko paunga jidhar jaunga ab tere shahr mein aaunga musafir ki tarah saya-e-abr ki manind guzar jaunga tera paiman-e-wafa rah ki diwar bana warna socha tha ki jab chahunga mar jaunga chaarasazon se alag hai mera mear ki main zakhm khaunga to kuchh aur sanwar jaunga ab to khurshid ko guzre hue sadiyan guzrin ab use dhundne main ta-ba-sahar jaunga zindagi shama ki manind jalata hun 'nadim' bujh to jaunga magar subh to kar jaunga