kaun kahta hai ki nafrat ko sada di jae

kaun kahta hai ki nafrat ko sada di jae
aao bas dil mein wafa aur badha di jae

ham-safar lutf-e-safar aur do-baala hoga
chhanw mein dhup agar thodi mila di jae

ab to wahshat meri chahat ki yahi kahti hai
main gunahgar hun to mujh ko saza di jae

abr khushiyon ke bhi barsenge yaqin hai mujh ko
gham ki chadar to mere sar se hata di jae

main ne asrar aziyyat mein hi khulte dekhe
baat chhoti hai magar sab ko bata di jae

umr phir us ki asiri mein guzarun 'jyoti'
phir se mujh ko wahi aazad faza di jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close