pate hain kuchh kami si taswir-e-zindagi mein

pate hain kuchh kami si taswir-e-zindagi mein
kya naqsh chhod aae hum dasht-e-be-khudi mein

zinjir-e-agahi se shamshir-e-agahi tak
kya kya maqam aae dil ki sipah-gari mein

ji dekhne ko tarse dekhun to kis nazar se
tufan-e-khirgi hai jalwon ki raushni mein

hasti bajae khud hai ek kar-gah-e-hasti
hum mast-bandagi mein wo banda-parwari mein

dhunde se bhi na pai sadiyon ki justuju ne
shamil thi jo tajalli tartib-e-unsuri mein

wo shai kahan hai pinhan ai mauj-e-ab-e-haiwan
jo wajh-e-sar-khushi thi barson ki tishnagi mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close