kaun kahta hai ki tum socho nahin soch mein itne magar dubo nahin chup hain diwaren to kya bahri bhi hain sab hama-tan-gosh hain bolo nahin phul to kya khar bhi manzur hain be-rukhi se yun magar phenko nahin apni hi surat se tum dar jaoge aaine mein aaj-kal jhanko nahin aaj kuchh tum ko ziyaada ho gai jao so jao miyan uljho nahin fasla wo hai ki badhta jaega lams ke khwabon mein yun bhatko nahin main zamin ka dard hun yaro mujhe aasmanon ka pata puchho nahin