dil mera tera taba-e-farman hai kya karun ab tera kufr hi mera iman hai kya karun ba-hosh hun magar mera daman hai chaak chaak aalam ye dekh dekh ke hairan hai kya karun har tarah ka sukun hai har tarah ka hai kaif phir bhi ye mera qalb pareshan hai kya karun kahta nahin hun aur zamana hai ba-khabar chehre se dil ka haal numayan hai kya karun daman karun na chaak ye mumkin to hai magar muztar har ek tar-e-gareban hai kya karun sada sa ek waraq hun kitab-e-hayat ka hasrat se ab na ab koi arman hai kya karun har samt pa raha hun wahi rang-e-dil-fareb hathon mein kufr ke mera iman hai kya karun daghon ka qalb-e-zar se mumkin to hai ilaj un ke hi dam se dil mein charaghan hai kya karun ek be-wafa ke waste se sab kuchh luta diya 'bahzad' ab na din na iman hai kya karun