kaun kahta hai ki yunhi raazdar us ne kiya khub parkha hai mujhe tab e'tibar us ne kiya be-hijab-e-nafs tha wo ya koi ghafil badan pairahan jo bhi diya hai tar tar us ne kiya aaj phir apni samaat saunp di us ne hamein aaj phir lahja hamara ikhtiyar us ne kiya sirf ek aks-e-wafa par hi nahin dali hai khak aaina-sazon ko bhi gard-o-ghubar us ne kiya apne baam-o-dar pe raushan der tak rakkha nahin har charagh-e-tamkanat ko be-dayar us ne kiya main fareb-e-sham ki bahon mein gum tha aur mera subh ki pahli kiran tak intizar us ne kiya zindagi se jang mein ye marka hota raha ek rajaz main ne padha aur ek war us ne kiya wo akela tha rah-e-nisbat mein lekin jaane kyun meri parchhain ko bhi khud mein shumar us ne kiya