kaun kahta hai kuchh bhala na hua kaam tera koi bura na hua tera chaha hua to kya na hua han magar kuchh mera kaha na hua nam hi nam khizr ka sun lo koi apna to rahnuma na hua wo bashar kya ki zat se jis ki dusre ka kabhi bhala na hua tuf hai us par ki jis se ai 'iffat' kaam hi koi kaam ka na hua