kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai nikhat-e-gul mein basi ek pari aati hai shauq se zulm karo shauq se do tum aazar ye samajh lo mujhe bhi nauhagari aati hai koi kahta hai ki aata hai dukhana dil ka koi kahta hai tumhein chaaragari aati hai dard-e-ulfat ko badha kar wo ghata dete hain chaak dil kyun na karen bakhiya-gari aati hai jhut se mujh ko na matlab na banawat se kaam baat jo aati hai munh par wo khari aati hai zor se sans jo leta hun to akasr shab-e-gham dil ki aawaz ajab dard bhari aati hai dast-e-wahshat ka mere shughl wo kya puchhte hain kuchh nahin aata faqat jama-dari aati hai kaam karne ke saliqe se hum aagah nahin aur kya aata hai bas be-hunari aati hai dil-e-pazhmurda khila jata hai kyun aaj bashir aa gai hai koi ya khush-khabari aati hai