kahaniyon ne zara khinch kar badan apne haram-sara se bulaya hamein watan apne khule gale ki qamisen khule gale ke firaq ye ladkiyan hain badalti hain pairahan apne ghadar ke phul sajati hain aise baalon mein sambhaal sakti hon jaise bhare badan apne ajab bhadak hai sharabon ki aur aankhon ki bala hai husn bidakne lage hain ban apne parae dard ki thikri se ghar karen raushan ki siflagi ki riyazat mein hain magan apne ye inkisar ke putle ye sim-o-zar ki sana ye maskhare hain ki chole mein gorkan apne hamein nikalo gharon ki kamin gahon se lahu ke ram se dahakne lage khutan apne hum ehtiyaj ke hujron se rizq chunte hue zamin ke khwan pe rakhne lage lagan apne ye aarzuon ke chaqmaq se jale sine jo aatishin hain magar nochte hain tan apne yahan zamin pe balwe yahan zamin pe fasad nikal rakhte hain sanduq se kafan apne wo bas dur ke khaton ki auraton mein udi jise jahazon mein lae the ham-sukhan apne