kaun kahta hai sar-e-arsh-e-barin rahta hai wo to ek dard hai jo dil ke qarin rahta hai chand par apne qadam aap ne kyun rok liye ek gam aur ki suraj bhi yahin rahta hai shama ki tarah pighalta hun main lamha lamha mere ehsas mein ek shoala-jabin rahta hai dil ke darwaze pe ab kis ko sada dete ho muddaten guzrin yahan koi nahin rahta hai wo jo suraj ko hatheli pe liye phirta tha unhin tarik si galiyon mein kahin rahta hai jin fazaon mein tamannaon ka dam ghatta hai han mere daur ka fankar wahin rahta hai jaane ye shauq ki hai kaun si manzil 'khusraw' main kahin rahta hun dil mera kahin rahta hai