ahd-e-khurshid mein zarron ki haqiqat kya hai gard to aap hi chhat jaegi ujlat kya hai baat kije jo ujalon ki to wo kahte hain wasl ki raat ujale ki zarurat kya hai chand be-zor shajar chand khilae hue phul aur gulchin ki gulistan pe inayat kya hai kucha-e-zahr-e-faroshan mein nikal aaya hun kucha-e-yar mein suqraat ki qimat kya hai rakh ho jate hain kitne hi usulon ke charagh tab kahin ja ke khabar hoti hai shohrat kya hai hai mere sher mein kuchh us ki shabahat warna phul kya chiz hain kaliyon ki sabahat kya hai dil qalandar ho to insan sitaron se buland afsari jah-o-hasham daulat-o-shohrat kya hai sar wahi hai jo kisi taj ka muhtaj na ho zulf-e-jaanan nazar aae to hukumat kya hai ho jise jurat-e-inkar mayassar 'khalid' us ko mitti ke khilaunon ki zarurat kya hai