kaun kahta hai tum ada na karo par wafa ki jagah jafa na karo sarw kat jaenge pisegi hina is tarah bagh mein phira na karo hans rahe hain abhi khushi mein wo mere rone ka tazkira na karo zakhm-e-dil par na ho namak-pashi is maze se to aashna na karo hai qayamat tumhaari atkheli hashr ai jaan-e-man bapa na karo khirman-e-dil pe barq girti hai mere rone pe tum hinsa na karo neamat-e-ishq hai ye dagh-e-jigar shukr-e-haq ke siwa gila na karo hai shab-e-wasl be-takalluf ho shokhiyan kahti hain haya na karo hun giraftar-e-ulfat-e-gesu mujh ko bahr-e-khuda riha na karo shauq kahta hai khud chale jao minnat-e-nama-bar kiya na karo dil lagana bura hai ai 'ajiz' chup raho us ka tazkira na karo