kaun kahta hai zamane ke liye zinda hun main to bas aap ko pane ke liye zinda hun aap farmaen sitam shauq se phir bhi main to aap ke naz uthane ke liye zinda hun kaun is daur mein hota hai kisi ka sathi zindagi tujh ko nibhane ke liye zinda hun jo tere pyar ka sadiyon se hai wajib mujh par han wahi qarz chukane ke liye zinda hun hakim-e-waqt ne jo aag lagai hai yahan main wahi aag bujhane ke liye zinda hun jo taraqqi pe nae logon ki jalte hain 'ana' main unhen hosh mein lane ke liye zinda hun