junun ki hadon se guzarna nahin hai mohabbat mein jina hai marna nahin hai hamare muqaddar mein jab tum nahin to kisi ke liye ab sanwarna nahin hai mujhe sirf tum dekh sakte ho lekin gunahon ki tah mein utarna nahin hai mujhe tum khilauna samajhte ho samjho mujhe tut kar ab bikharna nahin hai ye tai kar liya hai kisi haal mein bhi tamannaon ka khun karna nahin hai main jis ki hun us ki rahungi hamesha kisi aur par mujh ko marna nahin hai 'ana' main to bahti hui ek nadi hun kisi ke liye bhi thaharna nahin hai