kaun karta sar-e-darbar himayat meri

kaun karta sar-e-darbar himayat meri
takhta-e-dar pe khinchi gai jurat meri

ghar padosi ke mere aaj bhi chulha na jala
masjidon mein rahi mahdud ibaadat meri

mera qatil mera sar le ke bhi shadan na hua
sar nahin us ko to maqsud thi bai'at meri

mere tute hue par dekh ke hansne walo
main udunga abhi tuti nahin himmat meri

ek se chehre yahan ek si aawazen hain
aisi basti mein hai pahchan salamat meri

main ne gahraiyan napi hain samundar ki miyan
tum ne be-mol kharidi hai mahaarat meri

waza-dari to mere khun mein shamil hai 'zamir'
ab zaminen hain na jagir na daulat meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close