kuchh is ada se nasim-e-bahaar jhum ke chal

kuchh is ada se nasim-e-bahaar jhum ke chal
ki phut nikle dil-e-na-murad ki konpal

hasin chaman mein badal jae regzar-e-hayat
sarab-e-yas se paida hon farhaton ke kanwal

kai baras se hai be-ab aabshaar-e-talab
kabhi to mahw-e-karam ho umid ke baadal

na raushni na tarane na raqs-e-mauj-e-shamim
hanuz chashm-e-sahar mein hai raat ka kajal

bahaar mein bhi hai phulon ko intizar-e-bahaar
khuda-e-bagh ye tartib-e-bagh kuchh to badal

na chhup sakega gham-e-zindagi ka rukh 'azhar'
na dal us pe fareb-e-khayal ka aanchal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close