kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tera aur jalwa-khana tera mai-kada tera hai kaba tera but-khana tera sab hai jaanana tera tu kisi shakl mein ho main tera shaidai hun tera saudai hun tu agar shama hai ai dost main parwana tera yani diwana tera mujh ko bhi jam koi pir-e-kharabaat mile teri khairaat mile ta-qayamat yunhi jari rahe paimana tera rahe mai-khana tera tere darwaze pe hazir hai tere dar ka faqir ai amiron ke amir mujh pe bhi ho kabhi altaf-e-karimana tera lutf-e-shahana tera sadqa mai-khane ka saqi mujhe be-hoshi de khud-faramoshi de yun to sab kahte hain 'bedam' tera mastana tera ab hun diwana tera