shab-e-tarik chup thi dar-o-diwar chup the numud-e-subh-e-nau ke sabhi aasar chup the tamasha dekhte the hamare zabt-e-gham ka musallat ek dar tha lab-e-izhaar chup the hawaen chikhti thin fazaen gunjti thin qabila bat raha tha magar sardar chup the giraata kaun badh kar bhala diwar-e-zulmat ujalon ke payambar pas-e-diwar chup the mata-e-abru ko bacha sakte the lekin muhafiz sar-nigun the to pahre-dar chup the nahin hai is se badh kar koi tauhin fan ki kharide ja rahe the magar fankar chup the zamana chahta tha kahani ka tasalsul magar parde ke pichhe sabhi kirdar chup the