kaun sa tair-e-gum-gashta use yaad aaya dekhta bhaalta har shakh ko sayyaad aaya mere qabu mein na pahron dil-e-nashad aaya wo mera bhulne wala jo mujhe yaad aaya koi bhula hua andaz-e-sitam yaad aaya ki tabassum tujhe zalim dam-e-be-dad aaya lae hain log janaze ki tarah mahshar mein kis musibat se tera kushta-e-bedad aaya jazb-e-wahshat tere qurban tera kya kahna khinch ke rag rag mein mere nashtar-e-fassad aaya us ke jalwe ko gharaz kaun-o-makan se kya tha dad lene ke liye husn-e-khuda-dad aaya bastiyon se yahi aawaz chali aati hai jo kiya tu ne wo aage tere farhad aaya dil-e-viran se raqibon ne muraden pain kaam kis kis ke mera khirman-e-barbaad aaya ishq ke aate hi munh par mere phuli hai basant ho gaya zard ye shagird jab ustad aaya ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna jab mere hath koi khama-e-faulad aaya id hai qatl mera ahl-e-tamasha ke liye sab gale milne lage jab ki wo jallad aaya chain karte hain wahan ranj uthane wale kaam uqba mein hamara dil-e-nashad aaya di shab-e-wasl moazzin ne azan pichhli raat hae kam-bakht ko kis waqt khuda yaad aaya mere nale ne sunai hai khari kis kis ko munh farishton pe ye gustakh ye aazad aaya gham-e-jawed ne di mujh ko mubarakbaadi jab suna ye ki unhen shewa-e-bedad aaya main tamanna-e-shahadat ka maza bhul gaya aaj is shauq se arman se jallad aaya shadiyana jo diya nala o shewan ne diya jab mulaqat ko nashad ki nashad aaya lijiye suniye ab afsana-e-furqat mujh se aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya aap ki bazm mein sab kuchh hai magar 'dagh' nahin hum ko wo khana-kharab aaj bahut yaad aaya