kaun sa tan hai ki misl-e-ruh is mein tu nahin kaun gul hai jo tera maskan ba-rang-e-bu nahin jam-e-nargis mein kahan shabnam jo nikle aaftab yar ke aage meri aankhon mein ek aansu nahin yaad-e-gesu mein hua mera ye dhajji sa badan mujh pe phabti kahte hain mubaf hai gesu nahin jism aisa ghul gaya hai mujh mariz-e-ishq ka dekh kar kahte hain sab tawiz hai bazu nahin dekhe hain hansne mein jis din se dur-e-dandan-e-yar chain misl-e-gauhar-e-ghaltan kisi pahlu nahin ishq mein badmast hun main par koi waqif nahin nashsha hai jam-e-mai-e-ulfat mein lekin bu nahin zulf-e-jaanan mein nahin koi dil-e-wahshi asir ye ajab tatar hai jo ek bhi aahu nahin ho gaya hai ye qiran-e-aftab o mah-e-nau yar ke rukhsar-e-atish-rang par abru nahin ho gaya hai misl-e-mu tar-e-nigah apna siyah aage aankhon ke sanam jab se tere gesu nahin raat din naqus kahte hain ba-awaz-e-buland dair se behtar hai kaba gar buton mein tu nahin qumriyan diwani hain kyunkar gale mein ho na tauq bagh mein ek sarw misl-e-qamat-e-dil-ju nahin