sitam mein tab kam ho to pashemani mein rahti hain mere gham se meri khushiyan pareshani mein rahti hain tumhaari shakl in aankhon mein aa jati hai din dhalte ye donon sipiyan phir raat bhar pani mein rahti hain jo dard-e-zakhm badhta hai to lutf-andoz hota hun meri sab rahaten us ki namak-dani mein rahti hain mere andar ke gham bahar bhi zahir hote rahte hain ye dil ki silwaten hain jo ki peshani mein rahti hain azal se hai hamari aankhon mein paiwast aaina so in mein jhankne wali bhi hairani mein rahti hain tumhein main chum lun chhu lun zara ek sharm hai warna ye sari justujuen hadd-e-imkani mein rahti hain