kaun se jazbaat le kar tere pas aaya karun tu bata kis zawiye se main tujhe dekha karun ye bhi ek shart-e-safar hai ham-safar koi na ho jis kisi bhi raste ko tai karun tanha karun ai guzarte waqt tu kab mere bas mein aaega lamha-e-parran bata kab tak tera pichha karun halqa-e-ahbab badhta ja raha hai din-ba-din ab main apne aap ko bhi aur kuchh gahra karun kya tere hi qurb ke muhtaj the sab silsile kuchh samajh mein hi nahin aata ki main ab kya karun an-ginat banti bigadti khwahishon ki zad mein hun dil kahin thahra bhi ho main dil ka kya kahna karun mere milne walon mein se kaun milta hai tujhe tu kahan hai aur kaisa hai kise puchha karun mujh mein bhi teri tabiat ka zara sa rang hai tu nahin to kyun na apne aap ko chaha karun mere sheron mein teri be-chaargi ka dukh bhi ho kash jo tu sochta hai wo bhi main likkha karun kya se kya hone ka dukh bhi kitna karb-angez hai kis tawaqqo par 'riyaz' ab aaina dekha karun