khushk ho jae na jharne wala ab ke talab hai bharne wala jism par nam na likhna apna ye hai mitti mein utarne wala mar kar dekh liya hai us ko hum se marta nahin marne wala ab to aahat bhi nahin aati hai yun guzarta hai guzarne wala is liye jhil mein halchal hai bahut ek jazira hai ubharne wala ho raha hai pas-e-diwar bhi kuchh jaane kya karta hai karne wala aap hi aap chalata hai hawa aap hi aap bikharne wala kashtiyan par lagen ya na lagen ab ye dariya hai utarne wala kaun jaega sar-e-koh-e-nida shahr ka shahr hai darne wala