kaun se shahar mein kis ghar mein kahan hona hai

kaun se shahar mein kis ghar mein kahan hona hai
main wahan hota nahin mujh ko jahan hona hai

ek jugnu ne ye nukta mujhe talim kiya
kis pe poshida raho kis pe ayan hona hai

is liye taulti rahti hain paron ko ruhen
hukm aate hi sar-e-arsh-e-rawan hona hai

waqt aa pahuncha hai ab takht girae jaen
dosto hum se hi ye kar-e-garan hona hai

is qadar dil ne khasara to nahin socha tha
ye to tai tha ki mohabbat mein ziyan hona hai

mazhab-e-ishq mein jaez hai sabhi kuchh 'hashim'
aaj tum jaan ho kal dushman-e-jaan hona hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close