kaun sukh-chain se hai kis ki pazirai hai

kaun sukh-chain se hai kis ki pazirai hai
teri duniya mein har ek mod pe ruswai hai

jhil si aankhen teri aur gulabi tere hont
meri chahat ke hi sadqe mein ye ranai hai

main jo chup-chap sa baitha hun teri mahfil mein
ye mera shauq nahin zarbat-e-tanhai hai

ghar mein ghut ghut ke hi mar jate hain bimar gharib
ab shifa-khane mein is auj pe mahngai hai

main samundar to nahin adna sa shair hun magar
dariya se badh ke mere sher mein gahrai hai

jaan kar bhi nahin pahchante hain 'shauqi' log
teri basti mein ajab tarz-e-shanasai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close