kaun tanhai ka ehsas dilata hai mujhe ye bhara shahr bhi tanha nazar aata hai mujhe jaane kis mod pe kho jae andhere mein kahin wo to khud saya hai jo rah dikhata hai mujhe us ki palkon se dhalak jaun na aansu ban kar khwab ki tarah jo aankhon mein sajata hai mujhe aks ta aks badal sakti hun chehra main bhi mera mazi magar aaina dikhata hai mujhe wo bhi pahchan na paya mujhe apnon ki tarah phul bhi kahta hai patthar bhi batata hai mujhe ajnabi lagne laga hai mujhe ghar ka aangan kya koi shahr-e-nigaran se bulata hai mujhe kisi rut mein bhi meri aas na tuti 'sarwat' har naya jhonka khalaon mein udata hai mujhe