tai nim-jaan ka aaj bhi jhagda na ho saka tujh se sitam bhi ai sitam-ara na ho saka jab dard-e-dil ka tum se mudawa na ho saka phir kuchh bhi tum se hazrat-e-isa na ho saka allah re rawani-e-chashm-e-shab-e-firaq yun tez-rau kabhi koi dariya na ho saka andher hai ki maut bhi mashuq ban gai har chand chaha raat ko marna na ho saka kis waqt bahar-e-pursish-e-bimar aae wo jab aankh se bhi apni ishaara na ho saka