kaun yan bazar-e-khubi mein tera ham-sang hai husn ke mizan mein tere mahr-o-mah pasang hai main wo hun diwana-e-sarkhil-e-arbab-e-junun hath mein patthar liye har tifl mere sang hai ja-e-takiya aashiq-e-be-khanuman ko waqt-e-khwab zer-e-sar kuche mein tere khisht hai pasang hai is jawahar-posh ke dekhe hain wo yaqut-e-lab jis ki rangini ke aage lal bhi ek sang hai surmai aankhon ka tere jo koi bimar ho ek mil us ke tain rakhna qadam farsang hai jal gaya tanha na koh-e-tur hi parwana-war aag tere ishq ki sham-e-dil-e-har-sang hai sakht-jaani meri aur zalim tere sangin-dili aah misl-e-asiya ye sang upar sang hai bap ka hai fakhr wo beta ki rakhta ho kamal dekh aaine ko farzand-e-rashid-e-sang hai sar mera tere qadam ke sath yun hai pesh-rau thokaron mein jis tarah se rah-guzar ka sang hai e'tiqad-e-momin-o-kafir hai rahbar warna phir kuchh nahin dair-o-haram mein khak hai pasang hai ye sada ghar ghar kare hai aasiya phir phir mudam musht-e-gandum ke liye chhani ke upar sang hai shaikh ki masjid se ai 'bedar' kya hai tujh ko kaam sajda-gah apna sanam ke aastan ka sang hai