khak-e-ashiq hai jo howe hai nisar-e-daman ai meri jaan tu mat jhad ghubar-e-daman dosto mujh ko na do sair-e-chaman ki taklif ashk hi bas hai mera bagh-o-bahaar-e-daman surkh jama pe nahin tere kanari ki chamak barq is abr mein hoti hai nisar-e-daman dekhta kya hai gareban ki junun se naseh yan to sabit na raha ek bhi tar-e-daman aastin tak to kahan us ke rasai 'bedar' dastaras mujh ko nahin ta-ba-kanar-e-daman