kaun ye raushni ko samjhae sath dete nahin kabhi sae raaz khul jae phir wo raaz kahan baat hi kya jo lab pe aa jae ghar hamesha hi be-charagh raha dagh sine ke lau na de pae chandni khal rahi hai un ki tarah guzre lamhat kitne yaad aae tere kuche mein subh-dam aksar dekh kar phul hum ko sharmae dhup mein mere sath chalte hain un ki palkon ke dil-nashin sae hum sukun ki talash mein aakhir tere kuche mein phir chale aae roz jata hun mai-kade ki taraf kash ye dil kabhi bahal jae ab kharabaat mein wo rind kahan shab gae subh ki khabar lae bu-e-mai se mahak raha hai dimagh bu-e-gul ki hawas nikal jae mai-kada waqt hi pe khulta hai 'wajd' be-waqt kyun chale aae