lagaen aag hi dil mein ki kuchh ujala ho kisi bahane to is ghar ka bol-baala ho numud-e-subh ko kaise kare jahan taslim koi kiran ho kahin nam ko ujala ho na tum mile na ye duniya-e-gham hi ras aai tum hi batao ki is gham ka kya izala ho ajab ajab si hain afwahen garm zindan mein ajab nahin ki isi shab yahan ujala ho phir us ki baat ka kaise yaqin aa jae wo jis ki baat ka andaz hi nirala ho kashan kashan hi chalo ye rawish hi behtar hai kahin na zikr ho apna na kuchh hawala ho