kawish-e-na-mo'tabar ko mo'atabar karne lage log apni zat ke andar safar karne lage walihana tarz aashufta-sari ke bawajud meri wahshat par nazar shorida-sar karne lage raushni itni ki aankhon mein andhera chha gaya irtiqa aisa ki faqon par basar karne lage ek zara jis ne shuur-e-zindagi paya ki bas hadsat-e-gham use zer-o-zabar karne lage hum zamin ko bhi 'ziya' mahsur kar sakte nahin jab ki aaj insan khalaon mein safar karne lage