khal-e-rukh us ne dikhaya na dobara apna chande ek aur hai gardish mein sitara apna dil o din wa khirad o sabr kuja ku aaram ghar luta hum ne diya ishq mein sara apna boli sayyaad se bulbul ki na kar gul se juda takhta-e-bagh hai ye takht-e-hazara apna sair ki hum ne jo kal mahfil-e-khamoshan ki na to begana hi bola na pukara apna misl-e-nai hum ne to fariyaad bahut ki lekin koi hamdam na hua aah hamara apna dil hua chah-e-zaqan hi mein ghariq-e-rahmat is mein ghawwas-e-nazar garche utara apna khul gaya uqda-e-hasti-o-adam misl-e-habab lab-e-dariya pe hua jab ki guzara apna pairahan us ko hua khilat-e-shahi ki 'nasir' jis ne ye pairahan-e-khak utara apna