khal-e-rukhsar ko dagh-e-mah-e-kaamil bandha chashm-e-makhmur ko kaunain ka hasil bandha hum ne is shahr-e-sitamgar ke har ek zarre ko zauq-e-sajda ki qasam sajda-gah-e-dil bandha hum ne har wadi-e-pur-khar ko zinat bakhshi sar pe har khar ke ek turra-e-manzil bandha koi dekhe to sahi hausla-mandi apni hum ne tufan ki har ek mauj ko sahil bandha jazba-e-dil ko ba-andaz-e-digar main ne 'hayat' kabhi kashti kabhi tufan kabhi sahil bandha