khirad ki chhanw mein nind aa rahi hai kahan ghairat junun ki kho gai hai mujhe tere tasawwur ne sambhaala jahan bhi gardish-e-dauran mili hai hui muddat jala tha aashiyana nigahon mein abhi tak raushni hai jahan wo chalte chalte ruk gae hain wahan gardish falak ki tham gai hai mere ashkon ki tabani se hamdam shab-e-furqat ki zulmat kanpti hai ye mera zauq-e-nazzara salamat har ek surat mein surat aap ki hai kahan jaun nikal kar mai-kade se rah-e-dair-o-haram mein tirgi hai sambhal kar panw rakh ai wahshat-e-dil wafa ki rahguzar kanton bhari hai had-e-idrak mein dam todna kya junun-e-ishq mein zinda-dili hai gham-e-insan gham-e-dauran gham-e-dil 'hayat' ab kashmakash mein zindagi hai